| |
Kuch ulijhe hue swalon se darta hai dil
Na jane kion tanhai mein bikhrta hai dil
Us ko paane ka khayal koi bari baat nahi
Bas us ko kho dene ke khayal se darta hai dil..... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
| Jab jab unka kayal ata hai
ek datd sa dil mein chahta hai
pehle sochta hu unhe baahon mein bharlu
Phir haqiqat nahi khwaab hone ka ehsaas ata hai.... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
|
| Badalna nahi aata humein dostoon ki terhan
har ek raat mein intezar karte hain
Na tum samajh sako ge jise qayamat tak
kasam tumhari tumhein itna pyar karte hain..... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
Yun durr reh! kar duriyon ko badaya nahi karte
Apne deewano ko sataya nahi karte
Har waqat bas jise tumhara khyal ho
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
Agar hum na hote to pyar ko piya kaun kehta
tunhare is chehre ko kanwal ka phool kaun kehta
hum hain to muhabbat hai zamane main
warna in patthar k tukron ko Tajmahal kaun kehata..... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
|
Do kadam sath to chalo mere sath is rah par
umar bhar ka na bana lia to kahna
muhabbat to sabhi karte hain is dunya main
har hal main na apna lia to kahna...... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
Aap ke khayalo se fursat nahi milti
hame ek pal ki rahat nahi milti
mil to jati hai saans kuch
bas apki ek jhalak nahi milti..... |
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------- |
Is dil se teri yaad bhulai nahain jaati
ye pyaar ki dolat hai roozlutaai nahi jaati
kis dil se kehte ho tumhein bhula dun
har rooz ye duniya basai nahi jaati..... |